اردو हिंदी
Tak raha hai tu aasman mein kya | Shaahi Shayari
tak raha hai tu aasman mein kya

Ghazal

Tak raha hai tu aasman mein kya

Zia Zameer

;

tak raha hai tu aasman mein kya
hai abhi tak kisi uDan mein kya

wo jo ek tujh ko jaan se pyara tha
ab bhi aata hai tere dhyan mein kya

kya nahin hogi phir meri takmil
koi tujh sa nahin jahan mein kya

hum to teri kahani likh aae
tu ne likkha hai imtihan mein kya

ho hi jate hain jab juda donon
phir talluq hai jism-o-jaan mein kya

hum qafas mein hain uDne wale bata
hai wahi lutf aasman mein kya

paDh rahe ho jo itni ghaur se tum
kuchh naya-pan hai dastan mein kya

urdu wale kamal dikhte hain
koi jadu hai is zaban mein kya