tajraba jo bhi hai mera main wahi likhta hun 
main tasawwur ke bharose pe nahin baiTha hun 
jab main bahar se baDa saKHt nazar aaunga 
tum samajhna ki main andar se bahut TuTa hun 
jis ki KHushbu mujhe mismar kiya karti hai 
main usi qabr pe phulon ki tarah khilta hun 
barha jism ne phir zehan ne becha hai mujhe 
kya main qudrat ki dukanon mein rakha sauda hun 
mera TuTa hua chashma hi bharosa hai mera 
apni aankhon se apahij main koi bachcha hun 
Dubta dekh raha hun main KHudi mein KHud ko 
dil ki ek bench pe baiTha hua main hansta hun
        Ghazal
Tajraba jo bhi hai mera main wahi likhta hun
Tripurari

