tajdid-e-rasm-o-rah-e-mulaqat kijiye
mujh se nazar mila ke zara baat kijiye
dair o haram mein ruh ki taskin na ho saki
ab ehtiram-e-pir-e-KHarabaat kijiye
aaKHir janab-e-shaiKH hain mehman-e-mai-kada
do-chaar jam de ke mudaraat kijiye
guftar-e-talKH shewa-e-waiz hai mai-kasho
shirin dahan ki aap se kya baat kijiye
aaya hai koi pursish-e-ahwal ke liye
pesh aansuon ki aap bhi saughat kijiye
'anwar' KHayal-e-dost mein likh kar koi ghazal
takmil-e-tarjumani-e-jazbaat kijiye
Ghazal
Tajdid-e-rasm-o-rah-e-mulaqat kijiye
Anwar Sabri