tajalliyon se andheron ki jang jari hai
ujale surKH-ru hon ye dua hamari hai
jahan pe kal tha gulistan wo aaj maqtal hai
falak KHamosh hai phir dekhen kis ki bari hai
sar-e-niyaz jhukana mohabbaten dena
ye buz-dili nahin dar-asl KHaksari hai
rah-e-jumud se nafrat uDan ki KHwahish
haqiqatan ye zarurat hai jaan-nisari hai
ye gulistan hai hamari riyazaton ka samar
ise sanwarne mein sab ki hisse-dari hai
Ghazal
Tajalliyon se andheron ki jang jari hai
Mohammad Azhar Shams