tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati
falak yun charKH kyun khata zamin kyun farsh ho jati
hina tere kaf-e-pa ko na us shoKHi se sahlati
ye aankhen kyun lahu rotin unhon ki nind kyun jati
agar ye sard-mehri tuj ko aasaish na sikhlati
to kyunkar aaftab-e-husn ki garmi mein nind aati
ilahi dard-e-gham ki sarzamin ka haal kya hota
mohabbat gar hamari chashm-e-tar se meinh na barsati
Ghazal
Tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan