tairega faza mein jo samundar na milega
dil sa bhi zamane mein shanawar na milega
sahil se to andaza-e-tufan bhi hai dushwar
tah mein jo na utroge to gauhar na milega
wabasta hai is bazm se hi ghar ka tasawwur
uTh jaegi jab bazm to phir ghar na milega
parwaz KHalaon mein mubarak tumhein lekin
ek bar bikhar kar to ye paikar na milega
sar phoDne wale rahen wallah salamat
kuchh din mein ibaadat ko bhi patthar na milega
har zarra hai firdaus-e-nazar had-e-nazar tak
bedar na hona ki ye manzar na milega
sairab jo hain un ki hawas aur baDhi hai
is bhiD mein pyason ko samundar na milega
tum lutf-e-mulaqat ko KHwabon mein basa lo
ye lamha masarrat ka bichhaD kar na milega
har sher mein izhaar se ehsas ham-aghosh
is daur mein 'sahir' sa suKHan-war na milega

Ghazal
Tairega faza mein jo samundar na milega
Sahir Hoshiyarpuri