tai nim-jaan ka aaj bhi jhagDa na ho saka
tujh se sitam bhi ai sitam-ara na ho saka
jab dard-e-dil ka tum se mudawa na ho saka
phir kuchh bhi tum se hazrat-e-isa na ho saka
allah re rawani-e-chashm-e-shab-e-firaq
yun tez-rau kabhi koi dariya na ho saka
andher hai ki maut bhi mashuq ban gai
har chand chaha raat ko marna na ho saka
kis waqt bahar-e-pursish-e-bimar aae wo
jab aankh se bhi apni ishaara na ho saka

Ghazal
Tai nim-jaan ka aaj bhi jhagDa na ho saka
Noor Jahan Naz