اردو हिंदी
Tai mujhse zindagi ka kahan fasla hua | Shaahi Shayari
tai mujhse zindagi ka kahan fasla hua

Ghazal

Tai mujhse zindagi ka kahan fasla hua

Hasan Nizami

;

tai mujh se zindagi ka kahan fasla hua
hai mera gham ke phul se daman bhara hua

hariyaliyon ke waste aankhen taras gain
har khet mein mila hamein patthar uga hua

uDti hui patang ke manind main bhi hun
mazbut ek Dor se lekin bandha hua

har samt ehtijaj ki aawaz mar gai
kis KHamushi ke sath ye mahshar bapa hua

is shahr ko faqir ki jab bad-dua lagi
barish hui na phir koi manzar hara hua

dekha hai us ke sath bhi chal kar bahut 'hasan'
lagta hai wo hasin agar ho ruka hua