اردو हिंदी
Tai kiya is tarah safar tanha | Shaahi Shayari
tai kiya is tarah safar tanha

Ghazal

Tai kiya is tarah safar tanha

Hurmatul Ikaram

;

tai kiya is tarah safar tanha
ek hum ek rahguzar tanha

kaun hota rafiq-e-tira-shabi
dil jalaya hai ta-sahar tanha

KHairiyat puchhne ko aai hai
zindagi mujh ko dekh kar tanha

aafat-e-jaan hai waz-e-ham-safari
waqt ki rah se guzar tanha

dhaDkanon ka bhi hai ajab andaz
dil ki wadi hai kis qadar tanha

na mila dard-ashna koi
kaT gaya dard ka safar tanha

dasht mein apni hi tajalli ke
jhilmilaya kiya qamar tanha

saaten deti hi rahin aawaz
zindagi chal paDi kidhar tanha

qatl-gah-e-wafa mili KHali
'hurmat' aae hamin nazar tanha