tai hua din ki khule sham ke bistar chaliye
panw ko hukm thakan ka hai ki ab ghar chaliye
pahle pahle to kisi chiz se Takraoge
tab kahin zehn kahega ki sambhal kar chaliye
choT dekhenge to manzil pe nahin pahunchenge
lag gai panw ko jo lagni thi Thokar chaliye
aise kitne hi milenge tumhein manzil tak so
dekhna chhoDiye bhi mil ke patthar chaliye
rah mein bhiD Daraati hai to ghar jate hain aur
ghar ki tanhai ye kahti hai ki bahar chaliye
Ghazal
Tai hua din ki khule sham ke bistar chaliye
Charagh Barelvi