اردو हिंदी
Tai ho saka na fasla lambi uDan se | Shaahi Shayari
tai ho saka na fasla lambi uDan se

Ghazal

Tai ho saka na fasla lambi uDan se

Khurshid Sahar

;

tai ho saka na fasla lambi uDan se
main Dher ho ke rah gaya aaKHir takan se

us be-gunah ki chiKH ne kya kuchh nahin kaha
par log chhup ke dekh rahe the makan se

tufan-e-sad-zawal se kashti bachaiye
KHatra na Talne wala hai ye baadban se

rishton ki bhiD-bhaD se wo bhi alag hua
main bhi najat pa gaya wahm-o-guman se

ji chahta hai sari thakan oDh lun 'sahar'
aaKHir main aur kitna laDun jism o jaan se