tahrir se warna meri kya ho nahin sakta
ek tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta
aankhon mein KHayalat mein sanson mein basa hai
chahe bhi to mujh se wo juda ho nahin sakta
jina hai to ye jabr bhi sahna hi paDega
qatra hun samundar se KHafa ho nahin sakta
gumrah kiye honge kai phul se jazbe
aise to koi rah-numa ho nahin sakta
qad mera baDhane ka use kaam mila hai
jo apne hi pairon pe khaDa ho nahin sakta
ai pyar tere hisse mein aaya teri qismat
wo dard jo chehron se ada ho nahin sakta
Ghazal
Tahrir se warna meri kya ho nahin sakta
Waseem Barelvi