tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa
phaila hua hai har-su kuchh din se rat-jaga sa
milte hain roz un se hasrat ki sarhadon par
rahta hai phir bhi hail kyun jaane fasla sa
barson ke sab marasim toDe hain us ne aise
pal bhar mein TuT jae jis tarah aaina sa
taza rafaqaton ke pur-kaif silsilon mein
rahta hai dil na jaane ab kyun Dara Dara sa
meri bala se chahat ki lakh barishen hon
main pahle bhi tha pyasa main aaj bhi hun pyasa
donon mein aaj tak wo pahli si tishnagi hai
phir wasl mein nahin kyun wo lutf ibtida sa
tanhaiyon ki zad mein rahti hai ruh meri
is waste hun yaro main aaj kal bujha sa
Takra gae jo un se hum rah mein achanak
ek dastan hui phir wo hadisa zara sa
jis par nigah Thahri jaan-e-'KHayal' apni
wo ajnabi hai lekin lagta hai aashna sa
Ghazal
Tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa
Rafique Khayal