tahajjud mein wo rang-o-bu raat bhar
KHuda se rahi guftugu raat bhar
jo KHwabon mein lahrae phulon ke jam
mahakte rahe be-subu raat bhar
hua jo sar-e-sham dil pash pash
kiya tar-e-gham se rafu raat bhar
wo tanhai ka KHub-surat hujum
wo mela sar-e-ab-ju raat bhar
chamakte rahe aansuon ke charagh
kiya yaad unhen ba-wazu raat bhar
ye kamre se kaisi mahak aai thi
wahan to na the main na tu raat bhar
tumhein 'nur' KHushbu ne DhunDa bahut
kahan tum rahe ai guru raat bhar
Ghazal
Tahajjud mein wo rang-o-bu raat bhar
Noor Taqi Noor