tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye
tughyaniyon ka hath samundar mein Daliye
apni hadon mein rahiye ki rah jae aabru
upar jo dekhna hai to pagDi sambhaaliye
KHushbu to muddaton ki zamin-doz ho chuki
ab sirf pattiyon ko hawa mein uchhaaliye
sadiyon ka farq paDta hai lamhon ke pher mein
jo gham hai aaj ka use kal par na Taliye
aaya hi tha abhi mere lab pe wafa ka nam
kuchh doston ne hath mein patthar uTha liye
kah do salib-e-shab se ki apni manae KHair
hum ne to phir charagh saron ke jala liye
duniya ki nafraten mujhe qallash kar gain
ek pyar ki nazar mere kase mein Daliye
mahsus ho raha hai kuchh aisa mujhe 'qatil'
nindon ne jaise aaj ki shab par laga liye
Ghazal
Tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye
Qateel Shifai