اردو हिंदी
Tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera | Shaahi Shayari
tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera

Ghazal

Tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera

Ishrat Zafar

;

tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera
kaun izhaar-e-musalsal rok sakta hai tera

qatl ho jata hai jab suraj dilon ke dasht mein
gahri zulmat mein man shoala lapakta hai tera

naqsh ubharte hain teri KHushbu ke sath-e-KHak par
be-sada gumbad mein bhi tair chahakta hai tera

saghar-e-gul se hazaron rang uchhalte hain tere
ism-e-azam sabz lauhon par chamakta hai tera

taza-dam hai kitni sadiyon ka safar karne ke baad
qafila kab duri-e-manzil se thakta hai tera

lahlahata hai dil-e-ishrat mein roz o shab wo naKHl
jis ke barg o shaKH mein mausam mahakta hai tera