tah-e-mazar kaun hai sar-e-mazar kaun tha
jo qabr gili kar gaya wo ashk-bar kaun tha
sabhi ne aashkar apne aap ko kiya magar
numaishon ki aaD mein wo parda-dar kaun tha
tamam shahr gharq hai ghubar hi ghubar mein
amir-e-shahr ye bata wo KHaksar kaun tha
wo qaum hi ajib thi the nim-barahna sabhi
nadamaten thin kis ke pas sharmsar kaun tha
musafiron ka kya hua ai naKHuda tu hi bata
bhanwar ki zad mein kaun tha nadi ke par kaun tha
thi be-hayaiyon ki dhum shahr-e-imtiyaz mein
bigaD chuke samaj ka jawab-dar kaun tha
meri qaza ke baad shor-o-ghul tha azhdaham mein
mudawa gham ka kar gaya wo gham-gusar kaun tha
jhalak rahi hain azmaten 'nawaz' us ke taj mein
jo taj us ko de gaya wo tajdar kaun tha
Ghazal
Tah-e-mazar kaun hai sar-e-mazar kaun tha
Nawaz Asimi