tah-e-girdab to bachna mera dushwar hai phir bhi 
kinare dur hain TuTi hui patwar hai phir bhi 
thakan se chur hun, sar rakh diya hai us ke sine par 
mujhe malum hai ye ret ki diwar hai phir bhi 
mata-e-rishta-e-jaan karobar-e-manfat kab thi 
KHaridaron ke halqe mein sar-e-bazar hai phir bhi 
meri muTThi mein nazuk pankhuDi mahfuz rahti hai 
bachana sang-bari mein use dushwar hai phir bhi 
tere lahje ki shabnam jazb kar de kuchh nami is mein 
agarche dil sulagti ret ka ambar hai phir bhi 
charagh-e-arzu hai muntazir dahliz par meri 
wo duri ke dhundlakon mein bahut lachaar hai phir bhi 
samundar tishnagi ka ab sarab-e-ishq mein zam hai 
shikasta haal mera shisha-e-pindar hai phir bhi 
ye miTi chaak par thamti nahin hai, itni gili hai 
kaThin ye marhala hai, kuza-gar la-chaar hai phir bhi
        Ghazal
Tah-e-girdab to bachna mera dushwar hai phir bhi
Parvin Sheer

