tah-e-badan kahin bedar hota jata hun
wo pas aata hai jitna main sota jata hun
zamin nikli chali ja rahi hai hathon se
main aasman-e-mohabbat mein khota jata hun
udhar wo mujh se gurezan hai mujh pe hanste hue
idhar main us ke taaqub mein rota jata hun
har ek lamha banate hain mujh ko hath us ke
wo karta jata hai mujh ko main hota jata hun
main kaenat ka mazdur ashraf-e-maKHluq
koi bhi kaam ho ek main hi jota jata hun
badan ki KHak to uD jaegi hawa main kahin
magar wo peD rahenge jo bota jata hun
wo tegh-e-kasrat-e-mani lagi taKHallus ko
ki do do 'farhat'-o-'ehsas' hota jata hun
Ghazal
Tah-e-badan kahin bedar hota jata hun
Farhat Ehsas