اردو हिंदी
TaDapte dil ko na le iztirab leta ja | Shaahi Shayari
taDapte dil ko na le iztirab leta ja

Ghazal

TaDapte dil ko na le iztirab leta ja

Arzoo Lakhnavi

;

taDapte dil ko na le iztirab leta ja
paTak de saghar-e-KHali sharab leta ja

wo hath mar palaT kar jo kar de kaam tamam
baDe azab mein hun main sawab leta ja

wo ban hi ghar se hai achchha sukun jis mein mile
mujhe bhi o dil-e-KHana-KHarab leta ja

mile ek aah ka waqfa to waqt-e-purshish-e-haal
har ek sawal ka apne jawab leta ja

naqab uTha ke kiya samna to munh ko na pher
dikha ke KHwab na aaankhon se KHwab leta ja