taDap to aaj bhi kuchh kam nahin hai
magar ye chashm ab pur-nam nahin hai
hue jab fart-e-gham se KHushk aansu
wo ye samjhe ki mujh ko gham nahin hai
dhuan sa ek uTha karta hai dil mein
teri yaad aah ab bhi kam nahin hai
wo rahen bhi koi rahen hain yaro
ki jin mein koi pech-o-KHam nahin hai
rawan hun yun to ab bhi su-e-manzil
qadam uThte hain lekin dam nahin hai
bhala wo zindagi kya zindagi hai
KHushi ke sath jis mein gham nahin hai
hua KHamosh ye 'maghmum' kaise
hai na-mumkin ki us ko gham nahin hai
Ghazal
TaDap to aaj bhi kuchh kam nahin hai
Gorbachan Singh Dayal Maghmum