اردو हिंदी
TaDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki | Shaahi Shayari
taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki

Ghazal

TaDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki

Safi Lakhnavi

;

taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki
chhuri thi mere liye jo shikan thi bistar ki

araq araq hain jo garmi se roz-e-mahshar ki
panah DhunDte hain mere daman-e-tar ki

hua guman usi shoKH-e-sust-paiman ka
agar hawa se bhi zanjir hil gai dar ki

isi taraf tere qurban nigah-e-sharm-alud
mujhi pe tez ho ye baDh kund KHanjar ki

KHiram wo jo hila de jigar farishton ka
nigah wo jo ulaT de safon ko mahshar ki

sajai hazrat-e-waiz ne kis takalluf se
mata-e-zohd-o-wara siDhiyon pe mimbar ki

ubur bahr-e-haqiqat se jab nahin mumkin
kinare baiTh ke lahren ginun samundar ki

sunega kaun suni jaegi 'safi' kis se
tumhaari ram-kahani ye zindagi bhar ki