taDap ke lauT ke aansu baha ke dekh liya
lagi na dil ki tujhe dil laga ke dekh liya
kisi ne dad na di kuchh fasana-e-dil ki
unhen bhi dard-e-mohabbat suna ke dekh liya
kise umid thi aaoge tum dam-e-aKHir
baDa kamal kiya tum ne aa ke dekh liya
kaha tha main ne ki dushwar dil ka lena hai
wo bole dur se mujh ko dikha ke dekh liya
ghazab kiya ki chakha kar mai-e-suKHan ka maza
'sharaf' se shaKHs ko be-KHud bana ke dekh liya

Ghazal
TaDap ke lauT ke aansu baha ke dekh liya
Sharaf Mujaddidi