اردو हिंदी
TaDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye | Shaahi Shayari
taDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye

Ghazal

TaDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye

Prem Shankar Goila Farhat

;

taDap kali ki hai ye ishrat-e-numu ke liye
ki iztirab hai irfan rang-o-bu ke liye

rumuz-e-arsh to khul jaenge kabhi na kabhi
hayat waqfa hai KHud apni justuju ke liye

kuchh is qadar dil-e-pur-shauq be-KHabar bhi nahin
magar ba-zid hai wo anjam-e-arzu ke liye

chaman mein ghunche hue mail-e-azan jis dam
luTai subh ne shabnam wahin wuzu ke liye

shamim-e-gulshan-e-rizwan ba-sad niyaz aai
KHiraj le ke teri zulf-e-mushkbu ke liye

jigar ka chaak hi marhun-e-baKHiya-gar kyun ho
ye KHud hi rishta-e-sozan bhi hai rafu ke liye

nadim kis ke qadam hain ye zeb-e-kahkashan
chala ye kaun kidhar kis ki justuju ke liye