taDap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai
tera badan mera hasil bhi hai, junun bhi hai
badan pe dauDti aankhon ki pyas ghaur se paDh
ki aankh zarra-e-sahra-e-andarun bhi hai
qubul kar nigah-e-paemal KHush-badani
meri ana ka ye parcham hai, aur nigun bhi hai
meri nigah bhi bahki hui hai kuchh, aur kuchh
haya-e-husn ruKH-e-yar par fuzun bhi hai
tumhaari did ki bhi hai mahak in aankhon mein
isi nawah mein KHushbu-e-ju-e-KHun bhi hai

Ghazal
TaDap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai
Syed Kashif Raza