tabib kahte hain juz wahm-e-KHwab kuchh bhi nahin
to kya jo hum ne sahe wo azab kuchh bhi nahin
hamari dasht-nawardi tumhaare kaam aai
tumhein ye kaun batata sarab kuchh bhi nahin
nazir us ki main kya dun ki samne us ke
charagh mah sitara gulab kuchh bhi nahin
tamam umr kiya main ne kar-e-la-hasil
ki madh-e-husn-e-butan ka sawab kuchh bhi nahin
koi latif si shai ho to hum piyen saqi
hum ahl-e-dil ki nazar mein sharab kuchh bhi nahin
agar mein jazb na kar panw raushni 'kashif'
to mah kuchh bhi nahin aaftab kuchh bhi nahin
Ghazal
Tabib kahte hain juz wahm-e-KHwab kuchh bhi nahin
Kashif Rafiq