tabiat rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai
wahi ranj-o-alam hai par KHalish kam hoti jati hai
KHushi ka waqt hai aur aankh pur-nam hoti jati hai
khili hai dhup aur barish bhi chham-chham hoti jati hai
ujala ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro
basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai
karen sajda kisi but ko gawara tha kise lekin
jabin ko kya karen jo KHud-ba-KHud KHam hoti jati hai
tujhe hai fikr meri mujh se baDh kar ai mere maula
mujhe darkar hai jo shai faraham hoti jati hai
uThi kya ek nigah-e-lutf phir apni taraf yaro
ki har TuTi hui ummid qaem hoti jati hai
baDa ghaTe ka sauda hai 'sada' ye sans lena bhi
baDhe hai umar jyun-jyun zindagi kam hoti jati hai
Ghazal
Tabiat rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai
Sada Ambalvi