tabiat in dinon begana-e-gham hoti jati hai
mere hisse ki goya har KHushi kam hoti jati hai
sahar hone ko hai bedar shabnam hoti jati hai
KHushi minjumala-o-asbab-e-matam hoti jati hai
qayamat kya ye ai husn-e-do-alam hoti jati hai
ki mahfil to wahi hai dil-kashi kam hoti jati hai
wahi mai-KHana-o-sahba wahi saghar wahi shisha
magar aawaz-e-nosha-nosh maddham hoti jati hai
wahi hain shahid-o-saqi magar dil bujhta jata hai
wahi hai shama lekin raushni kam hoti jati hai
wahi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi
wahi dil hai magar aawaz maddham hoti jati hai
wahi hai zindagi lekin 'jigar' ye haal hai apna
ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai
Ghazal
Tabiat in dinon begana-e-gham hoti jati hai
Jigar Moradabadi