اردو हिंदी
Tabassum mein na Dhal jata gudaz gham to kya karte | Shaahi Shayari
tabassum mein na Dhal jata gudaz gham to kya karte

Ghazal

Tabassum mein na Dhal jata gudaz gham to kya karte

Hameed Nag Puri

;

tabassum mein na Dhal jata gudaz gham to kya karte
ki ye shoala na ban jata agar shabnam to kya karte

luTa dete na apni zindagani hum to kya karte
nigah-e-lutf ka hota wahi aalam to kya karte

yunhi dair-o-haram ki manzilon mein Thokaren khate
sahaara gar na deti laghzish-e-paiham to kya karte

'hamid' achchha hua KHwab-e-tilism-e-arzu TuTa
ki ye mahfil na ho jati barham to kya karte