tabassum lab par aankhon mein nami hai
KHuda jaane ye gham hai ya KHushi hai
jo manzil aaj ahl-e-hosh ki hai
wo diwanon ki Thukrai hui hai
kahan jae thaka-manda musafir
tu hi saya tu hi diwar bhi hai
hazaron hain sukun-e-dil ke saman
ye duniya phir bhi ghabrai hui hai
andhere chhu nahin sakte hain mujh ko
ki mere sath teri raushni hai
zaban kah de to ek hangama ho jae
nazar malum kya kya dekhti hai
na jaane kab tera daman chhua tha
magar hathon mein ab tak tharthari hai
wo begana hai utna zindagi se
jaise jitna shuur zindagi hai
jafaon ne hazaron rang badle
wafa apni jagah par aaj bhi hai
chalo ai zimma-daran-e-mohabbat
faraaz-e-dar par phir raushni hai
mere simTe hue daman ko 'shaarib'
baDi hairat se duniya dekhti hai

Ghazal
Tabassum lab par aankhon mein nami hai
Sharib Lakhnavi