اردو हिंदी
Tabassum hai wo honTon par jo dil ka kaam kar jae | Shaahi Shayari
tabassum hai wo honTon par jo dil ka kaam kar jae

Ghazal

Tabassum hai wo honTon par jo dil ka kaam kar jae

Josh Malihabadi

;

tabassum hai wo honTon par jo dil ka kaam kar jae
unhen is ki nahin parwa koi marta hai mar jae

dua hai meri ai dil tujh se duniya kuch kar jae
aur aisi kuchh bane tujh par ki armanon se Dar jae

jo mauqa mil gaya to KHizr se ye baat puchhenge
jise ho justuju apni wo bechaara kidhar jae

sahar ko sina-e-alam mein partaw Dalne wale
tasadduq apne jalwe ka mera baatin sanwar jae

pareshan baal karte hain unhen shoKHi se matlab hai
bikharta hai agar shiraaza-e-alam bikhar jae

hayat-e-daimi ki lahar hai is zindagani mein
agar marne se pahle ban paDe to 'josh' mar jae