tabahi bastiyon ki hai nigahbanon se wabasta
gharon ka ranj virani hai mehmanon se wabasta
safar qadmon se wabasta hai lekin rasta apna
gulistanon se wabasta na viranon se wabasta
sadaqat bhi to ho jati hai maqtul-e-fareb aaKHir
haqiqat bhi to ho jati hai afsanon se wabasta
supurd-e-KHak hum ne hi kiya kitne azizon ko
hamin ne kar diye hain phul viranon se wabasta
tahi-dasti ne tanha kar diya har ek mahfil mein
bujhi shamen nahin rahti hain parwanon se wabasta
charaghon ko rakha jata hai aandhi aur tufan mein
farishton ko kiya jata hai shaitanon se wabasta
sahifon mein kahin tahrir raushan thi yahi 'rahi'
zamin par the kabhi insan insanon se wabasta

Ghazal
Tabahi bastiyon ki hai nigahbanon se wabasta
Rahi Quraishi