taba ishrat-pasand rakhta hun
ek dil-e-dardmand rakhta hun
bahut kahta nahin main pasti ko
apni fitrat buland rakhta hun
chashm-e-baatin se dekhta hun main
chashm-e-zahir ko band rakhta hun
lafz shirin hain aur mani talKH
zahr-amez qand rakhta hun
kaamyabi muhaal hai 'aKHtar'
zauq itna buland rakhta hun
Ghazal
Taba ishrat-pasand rakhta hun
Akhtar Ansari

