اردو हिंदी
Tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal | Shaahi Shayari
tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal

Ghazal

Tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal

Zafar Kaleem

;

tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal
jab bhi main tanha hua hun mujh ko yaad aai ghazal

jab bhi din Duba hui fikr-e-suKHan lahaq mujhe
sham hote hi mere saghar mein dar aai ghazal

yaad jab aae mujhe bichhDe hue sathi mere
kanpte honTon ki har silwaT pe lahrai ghazal

phul si aankhon mein angare liye phirta hun main
raat bhar sone kahan deti hai harjai ghazal

rang sochon ke bikhar jate hain ehsasat par
zehn mein shaer ke jab leti hai angDai ghazal

na-gahan logon ne dil mera dikhaya to mujhe
yun laga goya mere dukh banTne aai ghazal

mujh ko yaad aaya bahut wo na-murad-e-ishq 'mir'
dil ke taron par 'zafar' mutrib ne jab gai ghazal