taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai
phir mausam-e-bahaar mere gulsitan mein hai
ek KHwab hai ki bar-e-digar dekhte hain hum
ek aashna si raushni sare makan mein hai
tabish mein apni mahr-o-mah-o-najm se siwa
jugnu si ye zamin jo kaf-e-asman mein hai
ek shaKH-e-yasmin thi kal tak KHizan-asar
aur aaj sara bagh usi ki aman mein hai
KHushbu ko tark kar ke na lae chaman mein rang
itni to sujh-bujh mere baghban mein hai
lashkar ki aankh mal-e-ghanimat pe hai lagi
salar-e-fauj aur kisi imtihan mein hai
har jaan-nisar yaad-dahani mein munhamik
neki ka har hisab dil-e-dostan mein hai
hairat se dekhta hai samundar meri taraf
kashti mein koi baat hai ya baadban mein hai
Ghazal
Taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai
Parveen Shakir

