taza hawa bahaar ki dil ka malal le gai
pa-e-junun se halqa-e-gardish-e-haal le gai
jurat-e-shauq ke siwa KHalwatiyan-e-KHas ko
ek tere gham ki aagahi ta-ba-sawal le gai
shola-e-dil bujha bujha KHak-e-zaban uDi uDi
dasht-e-hazar-dam se mauj-e-KHayal le gai
raat ki raat bu-e-gul kuza-e-gul mein bas gai
rang-e-hazar mai-kada ruh-e-sifal le gai
tez hawa ki chap se tira-banon mein lau uThi
ruh-e-taghayyur-e-jahan aag se fal le gai
nafa-e-ahu-e-tatar zaKHm-e-numud ka shikar
dasht se zindagi ki rau ek misal le gai
hijr o visal o nek o bad gardish-e-sad-hazar-o-sad
tujh ko kahan kahan mere sarw-e-kamal le gai
narm hawa pe yun khule kuchh tere pairahan ke raaz
sab tere jism-e-naz ke raaz-e-visal le gai
matam-e-marg-e-qais ki kis se banegi dastan
nauha-e-be-zaban koi chashm-e-ghazal le gai
Ghazal
Taza hawa bahaar ki dil ka malal le gai
Aziz Hamid Madni