taza-dam jawani rakh
KHun mein kuchh tughyani rakh
waqt ke daman mein koi
apni ek kahani rakh
dost banane ki KHatir
surat sab pahchani rakh
tere dil tak aaun main
itni to aasani rakh
mere ghar ke aangan mein
koi sham suhani rakh
pal-do-pal ki KHatir hi
sanson ki arzani rakh
fan ka apne tu bhi 'tapish'
naqsh koi la-sani rakh
Ghazal
Taza-dam jawani rakh
Abdussamad ’Tapish’