tassub ki faza mein tana-e-kirdar kya deta
munafiq doston ke hath mein talwar kya deta
amir-e-shahr to KHud zard-ru tha ek muddat se
jharoke se wo ahl-e-shahr ko didar kya deta
hamare din ko jo deta nahin ek dhup ka TukDa
hamari raat ko wo chand ka mear kya deta
kahin goli kahin gali mohabbat se hai dil KHali
KHabar ye thi to bachchon ko naya aKHbar kya deta
bahut dushwar hai KHuddar rah kar zindagi karna
KHushamad karne wala sadqa-e-dastar kya deta
KHud us ka saya bhi us se gurezan hai musibat mein
mera ham-saya mujh ko saya-e-diwar kya deta
sarae-jaan mein danista musafir luT gaya warna
ki dil sa saKHt-jaan ek gul-badan ko war kya deta
Ghazal
Tassub ki faza mein tana-e-kirdar kya deta
Unwan Chishti