اردو हिंदी
Taron se mera jam bharo main nashe mein hun | Shaahi Shayari
taron se mera jam bharo main nashe mein hun

Ghazal

Taron se mera jam bharo main nashe mein hun

Saghar Siddiqui

;

taron se mera jam bharo main nashe mein hun
ai sakinan-e-KHuld suno main nashe mein hun

kuchh phul khil rahe hain sar-e-shaKH-e-mai-kada
tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun

Thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun

nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein
bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun

mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jam samne hi rakho main nashe mein hun

pael chhanak rahi hai nigar-e-KHayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun

main Dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein
mere abhi qarib raho main nashe mein hun

hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghar' ba-dosh lala-ruKHo main nashe mein hun