tarikiyon mein jal ke wo qindil ki tarah
sahra-badan se guzri hai ek jhil ki tarah
kal raat mere jism ne mahsus ki thakan
do-gam ke safar mein kai mel ki tarah
be-tal ka ilaqa hai chalna sambhaal kar
ulTe laTak na jao ababil ki tarah
kal raat mujh pe hamla kiya ek KHwab ne
murda badan pe bhuki kisi chil ki tarah
main tha nashe mein raat koi ru-ba-ru to tha
lagta tha KHadd-o-KHal se jibril ki tarah
Ghazal
Tarikiyon mein jal ke wo qindil ki tarah
Meraj Naqvi