tare shumar karte hain ro ro ke raat bhar
KHairaat-e-husn dijiye hum ko zakat bhar
dekho hamara sabr ki hum ne nahin piye
aansu hamare pas paDe the furaat bhar
sharminda ho rahi hain wafadariyan agar
zambil-e-e'tibar mein kuchh mumkinat bhar
rahmat jo teri baKHsh de hum ko to baKHsh de
palle mein apne kuchh bhi nahin hai najat bhar
wo beTa fatiha bhi nahin paDhta qabr par
jagi thi jis ke waste man raat raat bhar
Ghazal
Tare shumar karte hain ro ro ke raat bhar
Farooq Anjum