tare sare raqs karenge chand zamin par utrega
aks mere mahbub ka jab bhi jal ke andar utrega
un nainon mein sab kuchh khoya dil Duba aur hosh gae
jin nainon ki gahrai mein ek samundar utrega
shahr-e-dil ke har raste par dip jalae baiTha hun
un ki yaadon ka ye lashkar mere ghar par utrega
wo aae to sara aangan sara gulshan mahkega
un ka jalwa KHushbu ban kar gul mein aksar utrega
diwana to diwana hai kya rasta or kya manzil
par apne mahbub ke ghar hi aisa be-ghar utrega
hum jaise hain or jahan hain achchhe achchhe kaam karen
na hum nabh tak pahunch sakenge or na ambar utrega
ghar chhoTe hain par logo ke dil to mahlon jaise hain
is basti mein ek na ek din ek sikandar utrega
tum sab se achchhe ho sajan aur 'sajid' ko pyare ho
rup tumhaara ab kaghaz par ghazlen ban kar utrega

Ghazal
Tare sare raqs karenge chand zamin par utrega
Sajid Hashmi