tare jo kabhi ashk-fishani se nikalte
hum chand uThae hue pani se nikalte
KHamosh sahi markazi kirdar to hum the
phir kaise bhala teri kahani se nikalte
mohlat hi na di gardish-e-aflak ne hum ko
kya silsila-e-naql-e-makani se nikalte
ek umr lagi teri kushada-nazri mein
is tangi-e-daman ko girani se nikalte
bas ek hi mausam ka tasalsul hai ye duniya
kya hijr-zada KHwab-e-jawani se nikalte
wo waqt bhi guzra hai ki dekha nahin tum ne
sahraon ko dariya ki rawani se nikalte
shayad ki 'salim' amn ki surat nazar aati
hum log agar shola-bayani se nikalte
Ghazal
Tare jo kabhi ashk-fishani se nikalte
Saleem Kausar