tare jo aasman se gire KHak ho gae
zarre uThe to barq-e-ghazab-nak ho gae
pursan-e-haal dida-e-namnak ho gae
ye kab se aap sahib-e-idrak ho gae
anjam-e-imbisat-e-chaman ke sawal par
itna hanse ki phul jigar-chaak ho gae
hona paDega qael-e-tamir-e-ahd-e-nau
jis din gharib darKHur-e-imlak ho gae
taftish-e-haal-e-mausam-e-gul ko chale hain aap
ab jab ki aashiyan KHas-o-KHashak ho gae
sada dilon ne rahnumayan-e-qaum se
itne fareb khae ki chaalak ho gae
dah zehn wo dimagh jo aae watan ke kaam
nazr-e-nashat-e-baada-o-tiryak ho gae
chhuTa na hum se daman-e-tahzib-e-anjuman
dushman zara si Dhil pe be-bak ho gae
taslim kar na pae jinhen KHaksar hum
wo aap ki bala se agar KHak ho gae
sar par chaDha liya hai jinhen aaj aap ne
kal dekh lenge aap KHatarnak ho gae
hum bhi imam-e-masjid-e-jama ki tarah 'shad'
dhoe gae kuchh aise ki bas pak ho gae
Ghazal
Tare jo aasman se gire KHak ho gae
Shaad Aarfi

