اردو हिंदी
Tara tara utar rahi hai raat samundar mein | Shaahi Shayari
tara tara utar rahi hai raat samundar mein

Ghazal

Tara tara utar rahi hai raat samundar mein

Amjad Islam Amjad

;

tara tara utar rahi hai raat samundar mein
jaise Dubne walon ke hon hath samundar mein

sahil par to sab ke honge apne apne log
rah jaegi kashti ki har baat samundar mein

ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin
khul jati hai dariya ki auqat samundar mein

main sahil se lauT aaya tha kashti chalne par
pighal chuki thi lekin meri zat samundar mein

kaT raha hun aise 'amjad' ye hasti ki rah
be-patwari naw pe jaise raat samundar mein