tar-tar-e-pairahan mein bhar gai hai bu-e-dost
misl-e-taswir-e-nihaali main hun ham-pahlu-e-dost
chehra-e-rangin koi diwan-e-rangin hai magar
husn-e-matla hain masin matla hai saf abru-e-dost
hijr ki shab ho chuki roz-e-qayamat se daraaz
dosh se niche nahin utre abhi gesu-e-dost
dur kar dil ki kudurat mahw ho didar ka
aaine ko sina safi ne dikhaya ru-e-dost
wah-re shane ki qismat kis ko ye malum tha
panja-e-shal se khulenge uqda-ha-e-mu-e-dost
dagh-e-dil par KHair guzri to ghanimat jaaniye
dushman-e-jaan hain jo aankhen dekhti hain su-e-dost
do marenge zaKHm-e-kari se to hasrat se hazar
chaar talwaron mein shal ho jaega bazu-e-dost
farsh-e-gul bistar tha apna KHak par sote hain ab
KHisht zer-e-sar nahin ya takiya tha zanu-e-dost
yaad kar ke apni barbaadi ko ro dete hain hum
jab uDati hai hawa-e-tund KHak-e-ku-e-dost
us bala-e-jaan se 'atish' dekhiye kyunkar bane
dil siwa shishe se nazuk dil se nazuk KHu-e-dost
Ghazal
Tar-tar-e-pairahan mein bhar gai hai bu-e-dost
Haidar Ali Aatish