tar ki jhankar hi se bazm tharra jae hai
gahe gahe saz-e-hasti yun bhi chheDa jae hai
qafila chhuTe zamana ho gaya lekin hanuz
yaad-e-awaz-e-jaras rah rah ke taDpa jae hai
KHud zamana ruKH hamara dekhta hai hum nahin
jis taraf muDte hain hum dhaara bhi muDta jae hai
sar jo gardan par nahin to kya hatheli par sahi
manzil-e-ishq-o-junun se yunhi guzra jae hai
hum kahan Dube the ye kal puchiyega aaj to
kuchh talatum sa abhi maujon mein paya jae hai
aql walo kuchh kaho ye rishta-e-raaz-e-hayat
kyun ulajhta jae hai jitna ki khulta jae hai
aa raha hun dosto Thahro magar ye to batao
mujh ko kis goshe se sahra ke pukara jae hai
Ghazal
Tar ki jhankar hi se bazm tharra jae hai
Niyaz Fatehpuri