taqat ke sare zor ko KHamosh kar diya
KHamoshiyon ne shor ko KHamosh kar diya
jis Dor se nikalti rahi pyar ki sada
zalim ne aise Dor ko KHamosh kar diya
sab kuchh to Thik tha jo nazar panw par paDi
masti mein Dube mor ko KHamosh kar diya
wo bhiD thi jo TuT paDi aur us jagah
hathon mein aae chor ko KHamosh kar diya
aksar yahi hua hai ki jismon ki aag ne
jismon ke por por ko KHamosh kar diya
ai dost mai se dur hi rahna ki us ne to
kitne hi baada-KHor KHamosh kar diya
'fayyaz' hum diya nahin jis ko ki aap ne
shab-bhar jalaya bhor ko KHamosh kar diya
Ghazal
Taqat ke sare zor ko KHamosh kar diya
Faiyyaz Rashk