Tankon se zaKHm-e-pahlu lagta hai kankhajura
mat chheD mere dil ko baiTha hai kankhajura
champa-kali us ki kyun kar KHayal chhuTe
be-wajh dil se aa kar lipTa hai kankhajura
wo jumbishe-e-nigah kyun mare na Dank har dam
tahrir-e-surma goya kala hai kankhajura
zeb-e-gulu hai kanThi yaqut ki hai ghunDi
ai shoKH ye gareban tera hai kankhajura
rahta hai kya tasawwur din raat mujh ko us ka
aankhon mein lal sar ka phirta hai kankhajura
tifli mein khel sikhe mujh par jo ab bana kar
tinkon se singare ke phenka hai kankhajura
KHatt-e-siyah darpai hai zulf ke 'nasir' ab
bichchhu ka chhinne ghar nikla hai kankhajura
Ghazal
Tankon se zaKHm-e-pahlu lagta hai kankhajura
Shah Naseer