اردو हिंदी
Talluq apni jagah tujhse barqarar bhi hai | Shaahi Shayari
talluq apni jagah tujhse barqarar bhi hai

Ghazal

Talluq apni jagah tujhse barqarar bhi hai

Adeem Hashmi

;

talluq apni jagah tujh se barqarar bhi hai
magar ye kya ki tere qurb se farar bhi hai

kured aur zamin mausamon ke mutalashi!
yahin kahin meri khoi hui bahaar bhi hai

yahi na ho teri manzil zara Thahar ai dil
wahi makan hai diyon ki wahi qatar bhi hai

yunhi to ruh nahin toDti hisar-e-badan
zarur apna koi baadalon ke par bhi hai

main pattharon se hi sar ko paTaKH ke lauT aaya
chaTan kahti rahi mujh mein shahkar bhi hai

ye kya ki rok ke baiTha hua hun sail-e-hawas
machan par bhi hun aur samne shikar bhi hai

chhupa hua bhi hun jine ki aarzu le ke
panah-gah meri sher ki kachhaar bhi hai